Sunday, January 31, 2010

"Ye rishta kya kehlata hai?"


Ye rishta kya kehlata hai?
darta hai dil,phir bhi kadam nazdeek le jaate hain,
milne ki hai chah phir lab kyon kampkapate hain?
kabhi thamte hain kabhi aage nikal jaate hain,
dur ho jaane ka khayal,ruh ko jhunjla deta hai,
badal aur paani ka rishta kya koi bata sakta hai?
behti hawa nei paigam diya koi,
din bhi intezar mein guzra aur raat ko bhi na soi,
phir wahi din,phir wahi raat hui,
kyon rangeen lagi duniya,jab unse mulaqat hui?
ye rishta kya kehlata hai?

Saturday, January 23, 2010

"JOURNEY"


CAUGHT IN THE WORLD OF TWISTS AND TWIRLS,
WHAT LIFE UNFOLDS,A MYSTERY,A JOURNEY,A BEGINNING OR AN END?
THE EXPECTED,THE UNEXPECTED,
THE LOVE,THE LOVELORN,
THE PAIN,THE PLEASURES,
THE TEARS AND THE SMILES,
I CHERISH THEM ALL AS I CROSS THE MILES.
THE HOPES AND DESPAIR,
THE VICTORY,THE FAILURES,THE ECSTACY OF UNION,THE HURT OF SEPARATION.
I HUG THEM ALL AND HOLD IN EMBRACE,
THE MEMORIES OF YEARS GONE BY,
THE JOURNEY TO AN END,THE JOURNEY TO A NEW BEGINNING.!

"EHSAAS"


EK EHSAAS HI SAHI, HAR PAL SATH NA SAHI,
PYAAR INTEHA MAIN KARTI HUN,HUN TOH PAAS BHI NAHI,
KUCH MEETHI,KUCH DHUNDLI YAAD HI SAHI,
MAIN DUR HUN BAHOT,MILNE KI AAS HI SAHI,
TANHA SA MUNN MANZOOR HAI MUJHE,
YE MELE RAAS BHI NAHI,
NAAM UNKA HAI HOTHON PEI, WO MERI MUSKAAN HI SAHI,
KYA UNKE LIYE MAIN KHAAS HUN? YA MAIN YAAD BHI NAHI...

"BACHPAN"


NADI KE KINARE BAITH,APNA AKS DEKH RAHI THI MAIN YA PHIR DHOOND RAHI THI KHUD KO MAIN,SHAYAD BHOOL GAYI THI KHUD KO MAIN...
DHUNDLI SI WO YAADEIN AUR DHUNDLI SI WO PARCHAI,
JAANE KAHAN KHO GAYI HAI, MERE BACHPAN KI ANGDAI...
WO BHOLI SI MUSKAN,WO KHILKHILAR HANSNA...
WO DOSTON KI TOLI..WO MEETHI MEETHI BOLI...
NATKHAT SI ATKHALIYAN,WO BAATEIN BHOLI BHOLI..
MAA KI BAHON KA JHOOLA,KYON LAGTA BHOOLA BHOOLA..
KYON PEECHE REH GAYA SAB, YA MAIN HI DUR CHALI AAYI..
KYA SAATH CHALENGI YAADEIN, BANKAR MERI PARCHAYI ?

Sunday, January 17, 2010

"LAMHE"


RET BANKER JO HATHON SE NIKAL GAYE KAL,
AUR NAIKAL JAYENGE KAL..
WO LAMHE,JO ZINDAGI BHAR SATH,APNE SATH SAJO KAR.SAWAAR KAR SAMET KAR YE DIL RAKHNA CHAHTA HAI..
HATHON SE FISALTI RET AUR GUZARTE LAMHAAT MEIN FARQ HAI BASS ITNA...
RET FISAL JAANE KE BAAD HATHON PAR NISHAN NAHI CHORTI...
LEKIN WAQT WEH YAADEIN..HATHON KE NISHAN BADAL JAATA HAI...
SAMAY KO BANDHKAR RAKHNA MUMKIN TO NAHI..LEKIN IN LAMHON KE SATH BANDH JAANE KO JEE CHAHTA HAI..

Saturday, January 16, 2010

"KAB BAND HUI,KAB KHULL GAYI"


JAB SE MERI UNSE YUN MULAQAT HUI HAI...IN ANKHON KI UN ANKHON SE BAAT HUI HAI...
CHHAVI UNKI IN ANKHON MEI KUCH AISE BASI HAI,
KAB BAND HUI,KAB KHULL GAYI KYA KISKO KHABAR HAI...
SOTE JAGTE BASS ABB TO IS ZIDD PE ARRI HAIN,MIL JAAYE BASS EK JHALAK KYON NAMM SI HUI HAIN..
SAPNO MEI BHI ABB UNKO HI DHOOND RAHI HAIN,
KAB BAND HUI,KAB KHUL GAYI,
KYA KISKO KHABAR HAI...

"AKS"


KITNA INTEZAAR HAI HUME..UNSE MILNE KA..
KHABAR HI NAHI..UNHE IS DILE-BEKARAR KI...
YUN TOH ANKH BAND KARTE HI DIKH JAATE HAIN,AAS PAAS...
YUN TOH AKS BHI DIKHTA NAHI,MUDDTON DHOONDNE KE BAAD.

"KHAMOSHI"

IS KHAMOSHI KO SUN SAKO TO SHAYAD EHSAAS HO....
SADIYON SE KAH RAHI HUN KUCH.......
MEHSOOS KAR SAKO TO RUH SE MEHSOOS KARO...
SADIYON SE YE KHAMOSHI KUCH KAH RAHI HAI SHAYAD...
SUN SAKO TO SUNNA,IS KHAMOSHI KA BAYAN,
YUN SADIYON SE INTEZAAR HAI...
BASS INTEZAAR HAI....
BASS INTEZAAR HAI....